Naqsh Pani Pe Banaya Kyun Tha

naqsh pani pe banaya kyun tha

jab banaya to miTaya kyun tha

gae waqton ka hai ab rona kyun

aae waqton ko ganwaya kyun tha

baiTh jaana tha agar misl-e-ghubar

sar pe tufan uThaya kyun tha

meri manzil na kahin thi to mujhe

dasht-dar-dasht phiraya kyun tha

wo na hamdam tha na dam-saz koi

haal-e-dil us ko sunaya kyun tha

dur rahna tha jab us ko 'mohsin'

mere nazdik wo aaya kyun tha

(742) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Naqsh Pani Pe Banaya Kyun Tha In English By Famous Poet Mohsin Zaidi. Naqsh Pani Pe Banaya Kyun Tha is written by Mohsin Zaidi. Read famous Poem Naqsh Pani Pe Banaya Kyun Tha for youth and Student by Mohsin Zaidi. Free Download Naqsh Pani Pe Banaya Kyun Tha in PDF.