Aasar-e-junun Be-sar-o-saman Nahin Hote

aasar-e-junun be-sar-o-saman nahin hote

hum shahr-e-tahayyur mein pareshan nahin hote

raste mein tilismat bichhi jati hain har dam

hum KHu-e-safar surat-e-hairan nahin hote

mazi ki tanabon se lage dard ke KHeme

kya jaaniye kyun dida-e-imkan nahin hote

KHwabon ki haweli se rawan shor-e-musalsal

aawaz-e-jaras ke liye zindan nahin hote

hum zabt ki tariKH ke hain bab 'rashidi'

hum zabt ki tariKH mein pinhan nahin hote

(550) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aasar-e-junun Be-sar-o-saman Nahin Hote In English By Famous Poet Moid Rashidi. Aasar-e-junun Be-sar-o-saman Nahin Hote is written by Moid Rashidi. Read famous Poem Aasar-e-junun Be-sar-o-saman Nahin Hote for youth and Student by Moid Rashidi. Free Download Aasar-e-junun Be-sar-o-saman Nahin Hote in PDF.