Ishq Mein Lazzat-e-azar Nikal Aati Hai

ishq mein lazzat-e-azar nikal aati hai

is bahane se shab-e-tar nikal aati hai

hum tere shahr se milte hain guzar jate hain

tujh se milne mein to talwar nikal aati hai

KHwab mein toDta rahta hun ana ki zanjir

aankh khulti hai to diwar nikal aati hai

jab bhi aata hai koi rang zamane jaisa

kuchh na kuchh surat-e-inkar nikal aati hai

jab bhi karta hun KHamoshi ke hawale KHud ko

jaane kya barsar-e-paikar nikal aati hai

(701) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ishq Mein Lazzat-e-azar Nikal Aati Hai In English By Famous Poet Moid Rashidi. Ishq Mein Lazzat-e-azar Nikal Aati Hai is written by Moid Rashidi. Read famous Poem Ishq Mein Lazzat-e-azar Nikal Aati Hai for youth and Student by Moid Rashidi. Free Download Ishq Mein Lazzat-e-azar Nikal Aati Hai in PDF.