Sawal Us Se Hamara Kahan Nibah Ka Hai

sawal us se hamara kahan nibah ka hai

mutaliba hai magar sirf ek nigah ka hai

hameshgi ke marasim to dil ko ras nahin

ilaj is ka wahi rabt gah gah ka hai

main din-e-ishq mein tauhid ka jo qail hun

to moajaza ye tere husn-e-be-panah ka hai

visal-o-hijr se main kis ka intiKHab karun

yahan pe KHud se mujhe KHauf ishtibah ka hai

KHabar nahin hai abhi us ki kam-nigahi ko

ki ek marhala KHud ye bhi rasm-o-rah ka hai

moarriKHon ko kisi aur par na shak guzre

ki mujh ko marne wala meri sipah ka hai

(812) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sawal Us Se Hamara Kahan Nibah Ka Hai In English By Famous Poet Moin Nizaamii. Sawal Us Se Hamara Kahan Nibah Ka Hai is written by Moin Nizaamii. Read famous Poem Sawal Us Se Hamara Kahan Nibah Ka Hai for youth and Student by Moin Nizaamii. Free Download Sawal Us Se Hamara Kahan Nibah Ka Hai in PDF.