Warning: session_start(): open(/var/cpanel/php/sessions/ea-php56/sess_3a82628580e510b853543782012e5581, O_RDWR) failed: Disk quota exceeded (122) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1

Warning: session_start(): Failed to read session data: files (path: /var/cpanel/php/sessions/ea-php56) in /home/dars/public_html/helper/cn.php on line 1
Ai Hawa Shor Kar - Moin Nizaamii Poetry In English - Darsaal

Ai Hawa Shor Kar

in muammar daraKHton ke qile mein bhagdaD macha

dewdar ki shaKHon pe shab-KHun mar

aur KHwahish ke patton ke qalin par

aisa udham macha

jo ragon mein ThiThurte hue KHun ko garm kar de

KHayalon ki tah-deg ko itna khaula

ki barfani tudon se chingariyan phuT niklin

dilon aur zehnon ke mabain khinchi hui

KHushk taron pe bandhe hue

rang-dar-rang dhagon ke par kaT de

mere aur us ke mabain bahte hue

ret ke is samundar ke pinDal mein

chup se panja laDane ka elan kar

jangali Dhol ki gat pe badmast ho

zor kar

ai hawa shor kar

(1267) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Hawa Shor Kar In English By Famous Poet Moin Nizaamii. Ai Hawa Shor Kar is written by Moin Nizaamii. Read famous Poem Ai Hawa Shor Kar for youth and Student by Moin Nizaamii. Free Download Ai Hawa Shor Kar in PDF.