Kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar Kis Ne Kiya

kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar kis ne kiya

sirf aafaq mera raKHt-e-safar kis ne kiya

be-hunar tujh se mera ijz-e-hunar puchhta hai

mujh ko matub sar-e-shahr-e-hunar kis ne kiya

dahr-e-fani mein faqat ahl-e-qanaat ke siwa

zindagi tujh ko bahar-haal basar kis ne kiya

ai mere jazb-e-ana teri baqa ki KHatir

apni takmil se is taur hazar kis ne kiya

tu ki ek zarra-e-nachiz tha ai husn-maab

tujh ko ham-paya-e-KHurshid-o-qamar kis ne kiya

aaj bhi dang hai raftar-e-zamana is par

ek pal mein kai qarnon ka safar kis ne kiya

sochta hun faqat is daur ke insan ke liye

hasrat-o-yas ke mausam ko amar kis ne kiya

mahw-e-hairat hai tahayyur bhi jahan par 'tabish'

aise be-ab-o-giyah dasht ko ghar kis ne kiya

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar Kis Ne Kiya In English By Famous Poet Moin Tabish. Kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar Kis Ne Kiya is written by Moin Tabish. Read famous Poem Kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar Kis Ne Kiya for youth and Student by Moin Tabish. Free Download Kar-e-afzaish-e-anwar-e-sahar Kis Ne Kiya in PDF.