Tasir Sabr Mein Na Asar Iztirab Mein

tasir sabr mein na asar iztirab mein

bechaargi se jaan paDi kis azab mein

be-nala munh se jhaDte hain be-girya aankh se

ajza-e-dil ka haal na puchh iztirab mein

charKH o zamin mein tauba ka milta nahin suragh

hangama-e-bahaar o hujum-e-sahab mein

ai zohra-chehra dushman-e-manhus ko na dekh

nale bahenge KHun ke is fatah-yab mein

itni kudurat ashk mein hairan hun kya kahun

dariya mein hai sarab ki dariya sarab mein

fikr-e-maal se mai o shahid rahe aziz

piri mein maut yaad thi piri shabab mein

tum nikle bahr-e-sair to niklega mehr bhi

howega ijtima shab-e-mahtab mein

Dubi hujum-e-ashk se kashti zamin ki

mahi ko iztirab hua josh-e-ab mein

khola jo daftar-e-gila apna ziyan kiya

guzri shab-e-visal sitam ke hisab mein

ai hashr jald kar tah-o-baala jahan ko

yun kuchh na ho ummid to hai inqilab mein

qatil jafa se baz na aaya wafa se hum

fitrak mein jo sar hai to jaan hai rikab mein

bazicha kar diya sitam-e-yar o jaur-e-charKH

tifli se ghalghala hai mera shaiKH o shab mein

'momin' ye aalam us sanam-e-jaan-faza ka hai

dil lag gaya jahan-e-sarasar-KHarab mein

(926) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tasir Sabr Mein Na Asar Iztirab Mein In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Tasir Sabr Mein Na Asar Iztirab Mein is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Tasir Sabr Mein Na Asar Iztirab Mein for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Tasir Sabr Mein Na Asar Iztirab Mein in PDF.