Ta Na PaDe KHalal Kahin Aap Ke KHwab-e-naz Mein

ta na paDe KHalal kahin aap ke KHwab-e-naz mein

hum nahin chahte kami apni shab-e-daraaz mein

aur hi rang aaj hai aariz-e-gul-azar ka

KHun-e-dil apna tha magar go na ruKH-e-taraaz mein

kyunki na aadhi aadhi raat jage wo jis ka dhyan ho

aahu-e-nim-KHwab mein nargis-e-nim-baz mein

KHusraw-e-aish-e-wasl-e-yar jaan-kani aur kohkan

apna jigar to KHun hua ishq ke imtiyaz mein

bin tere bazm-e-sur mein hain ye qabahaten ki hai

naghma-e-sur ka asar naghma-e-nai-nawaz mein

un se ab iltifat ki ghair ko hain shikayaten

sun ke mera mubaalagha minnat-e-ehtiraaz mein

kya sabhi sine jal chuke kya sabhi dil pighal chuke

bu-e-kabab ab nahin aah-e-jigar-gudaz mein

parda-nashin ke ishq mein parda-dari na ho kahin

hoti hain be-hijabiyan jaan-e-nahufta-raaz mein

raKHna-e-dar se ghair pas dekha kise ki aaj hai

raKHna-gari kuchh aur hi nala-e-raKHna-saz mein

yaad-e-butan mein lakh bar fart-e-qalaq se hum bhi to

baiThe uThe hain 'momin' aap gir rahe shab namaz mein

(549) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ta Na PaDe KHalal Kahin Aap Ke KHwab-e-naz Mein In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ta Na PaDe KHalal Kahin Aap Ke KHwab-e-naz Mein is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ta Na PaDe KHalal Kahin Aap Ke KHwab-e-naz Mein for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ta Na PaDe KHalal Kahin Aap Ke KHwab-e-naz Mein in PDF.