Mahshar Mein Pas Kyun Dam-e-fariyaad Aa Gaya

mahshar mein pas kyun dam-e-fariyaad aa gaya

rahm us ne kab kiya tha ki ab yaad aa gaya

uljha hai panw yar ka zulf-e-daraaz mein

lo aap apne dam mein sayyaad aa gaya

nakaamiyon mein tum ne jo tashbih mujh se di

shirin ko dard-e-talKHi-e-farhad aa gaya

hum chaaragar ko yun hi pahnaenge beDiyan

qabu mein apne gar wo pari-zad aa gaya

dil ko qalaq hai tark-e-mohabbat ke baad bhi

ab aasman ko shikwa-e-bedad aa gaya

wo bad-guman hua jo kahin sher mein mere

zikr-e-butan-e-KHalKH-o-naushad aa gaya

the be-gunah jurat-e-pa-bos thi zarur

kya karte wahm-e-KHajlat-e-jallad aa gaya

jo ho chuka yaqin ki nahin taqat-e-visal

dam mein hamare wo sitam-ijad aa gaya

zikr-e-sharab-o-hur kalam-e-KHuda mein dekh

'momin' main kya kahun mujhe kya yaad aa gaya

(610) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mahshar Mein Pas Kyun Dam-e-fariyaad Aa Gaya In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Mahshar Mein Pas Kyun Dam-e-fariyaad Aa Gaya is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Mahshar Mein Pas Kyun Dam-e-fariyaad Aa Gaya for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Mahshar Mein Pas Kyun Dam-e-fariyaad Aa Gaya in PDF.