Karta Hai Qatl-e-am Wo Aghyar Ke Liye

karta hai qatl-e-am wo aghyar ke liye

das bis roz marte hain do-chaar ke liye

dekha azab-e-ranj dil-e-zar ke liye

aashiq hue hain wo mere aazar ke liye

dil ishq tere nazr kiya jaan kyunki dun

rakkha hai us ko hasrat-e-didar ke liye

qatl us ne jurm-e-sabr-e-jafa par kiya mujhe

ye hi saza thi aise gunahgar ke liye

le tu hi bhej de koi paigham-e-talKH ab

ye tajwiz zahr hai tere bimar ke liye

aata nahin hai tu to nishani hi bhej de

taskin-e-iztirab-e-dil-e-zar ke liye

kya dil diya tha is liye main ne tumhein ki tum

ho jao yun udu mere aghyar ke liye

chalna to dekhna ki qayamat ne bhi qadam

tarz-e-KHiram o shoKHi-e-raftar ke liye

ji mein hai motiyon ki laDi us ko bhej dun

izhaar-e-haal-e-chashm-e-guhar-bar ke liye

deta hun apne lab ko bhi gul-barg se misal

bose jo KHwab mein tere ruKHsar ke liye

jina ummid-e-wasl pe hijran mein sahl tha

marta hun zindagani-e-dushwar ke liye

'momin' ko to na lae kahin dam mein wo but

DhunDe hai tar-e-subha ke zunnar ke liye

(668) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Karta Hai Qatl-e-am Wo Aghyar Ke Liye In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Karta Hai Qatl-e-am Wo Aghyar Ke Liye is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Karta Hai Qatl-e-am Wo Aghyar Ke Liye for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Karta Hai Qatl-e-am Wo Aghyar Ke Liye in PDF.