Ghussa Begana-war Hona Tha

ghussa begana-war hona tha

bas yahi tujh se yar hona tha

kya shab-e-intizar hona tha

nahaq ummid-war hona tha

kyun na hote aziz ghair tumhein

meri qismat mein KHwar hona tha

mujh se jannat mein wo sanam na mila

hashr aur ek bar hona tha

gar na thi ai dil us ke ranj ki tab

kyun shikayat-guzar hona tha

KHak hota na main to kya karta

us ke dar ka ghubar hona tha

harza-gardi se hum zalil hue

charKH ka e'tibar hona tha

marg-e-sham-e-visal-e-hirman hai

subh-dam jaan-nisar hona tha

aur se ham-kanar hai dushman

aaj to ham-kanar hona tha

shikwa-e-dahr par kaha tum ko

aafat-e-rozgar hona tha

chashm-e-be-iKHtiyar-e-jaanan mein

kya mera iKHtiyar hona tha

sabr kar sabr ho chuka jo kuchh

ai dil-e-be-qarar hona tha

ku-e-dushman mein ja pakaDta kyun

kya mujhe sharmsar hona tha

wo namak-pash bhi nahin hote

yun hi dil ko figar hona tha

KHak mein haif ye sharab mile

mohtasib baada-KHwar hona tha

na gaya tir-e-nala su-e-raqib

murgh-e-arshi shikar hona tha

raat din baada o sanam 'momin'

kuchh to parhez-gar hona tha

(671) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghussa Begana-war Hona Tha In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ghussa Begana-war Hona Tha is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ghussa Begana-war Hona Tha for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ghussa Begana-war Hona Tha in PDF.