Tum Bhi Rahne Lage KHafa Sahab

tum bhi rahne lage KHafa sahab

kahin saya mera paDa sahab

hai ye banda hi bewafa sahab

ghair aur tum bhale bhala sahab

kyun ulajhte ho jumbish-e-lab se

KHair hai main ne kya kiya sahab

kyun lage dene KHatt-e-azadi

kuchh gunah bhi ghulam ka sahab

hae ri chheD raat sun sun ke

haal mera kaha ki kya sahab

dam-e-aKHir bhi tum nahin aate

bandagi ab ki main chala sahab

sitam aazar zulm o jaur o jafa

jo kiya so bhala kiya sahab

kis se bigDe the kis pe ghussa tha

raat tum kis pe the KHafa sahab

kis ko dete the galiyan lakhon

kis ka shab zikr-e-KHair tha sahab

nam-e-ishq-e-butan na lo 'momin'

kijiye bas KHuda KHuda sahab

(673) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Tum Bhi Rahne Lage KHafa Sahab In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Tum Bhi Rahne Lage KHafa Sahab is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Tum Bhi Rahne Lage KHafa Sahab for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Tum Bhi Rahne Lage KHafa Sahab in PDF.