Jalta Hun Hijr-e-shahid O Yaad-e-sharab Mein

jalta hun hijr-e-shahid o yaad-e-sharab mein

shauq-e-sawab ne mujhe Dala azab mein

kahte hain tum ko hosh nahin iztirab mein

sare gile tamam hue ek jawab mein

phaili shamim-e-yar mere ashk-e-surKH se

dil ko ghazab fishaar hua pech-o-tab mein

chin-e-jabin ko dekh ke dil basta-tar hua

kaisi kushud-e-kar kushad-e-naqab mein

hum kuchh to bad the jab na kiya yar ne pasand

ai hasrat is qadar ghalati intiKHab mein

rahte hain jama kucha-e-jaanan mein KHas o aam

aabaad ek ghar hai jahan-e-KHarab mein

aankh us ki phir gai thi dil apna bhi phir gaya

ye aur inqilab hua inqilab mein

badnam mere girya-e-ruswa se ho chuke

ab uzr kya raha nigah-e-be-hijab mein

matlab ki justuju ne ye kya haal kar diya

hasrat bhi ab nahin dil-e-nakaam-yab mein

goya ki ro raha hun raqibon ki jaan ko

aatish zabana-zan hui tufan-e-ab mein

nakaamiyon se kaam raha umr bhar hamein

piri mein yas hai jo hawas thi shabab mein

hai iKHtiyar-e-yar mein sud o ziyan magar

fazil the hum jahan se qaza ke hisab mein

naseh hai aib-ju o dil-azar is qadar

goya sawab hai suKHan-e-na-sawab mein

donon ka ek haal hai ye muddaa ho kash

wo hi KHat us ne bhej diya kyun jawab mein

taqdir bhi buri meri taqrir bhi buri

bigDe wo pursish-e-sabab-e-ijtinab mein

kya jalwe yaad aae ki apni KHabar nahin

be-baada mast hun main shab-e-mahtab mein

hai minnaton ka waqt shikayat rahi rahi

aae to hain manane ko wo par itab mein

teri jafa na ho to hai sab dushmanon se amn

badmast ghair mahw dil aur baKHt KHwab mein

paiham sujud pa-e-sanam par dam-e-wida

'momin' KHuda ko bhul gae iztirab mein

(1036) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Jalta Hun Hijr-e-shahid O Yaad-e-sharab Mein In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Jalta Hun Hijr-e-shahid O Yaad-e-sharab Mein is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Jalta Hun Hijr-e-shahid O Yaad-e-sharab Mein for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Jalta Hun Hijr-e-shahid O Yaad-e-sharab Mein in PDF.