Ai Aarzu-e-qatl Zara Dil Ko Thamna

ai aarzu-e-qatl zara dil ko thamna

mushkil paDa mera mere qatil ko thamna

tasir-e-be-qarari-e-nakaam aafrin

hai kaam un se shoKH-e-shamail ko thamna

dekhe hai chandni wo zamin par na gir paDe

ai charKH apne tu mah-e-kaamil ko thamna

muztar hun kis ka tarz-e-suKHan se samajh gaya

ab zikr kya hai sama-e-aqil ko thamna

ho sarsar-e-fughan se na kyunkar wo muztarib

mushkil hua hai parda-e-mahmil ko thamna

sikhe hain mujh se nala-e-nai aasman-shikan

sayyaad ab qafas mein anadil ko thamna

ye zulf KHam-ba-KHam na ho kya tab-e-ghair hai

tere junun-zade ki salasil ko thamna

ai hamdam aah talKHi-e-hijran se dam nahin

girta hai dekh jam-e-halahil ko thamna

simab-war mar gae zabt-e-qalaq se hum

kya qahr hai tabiat-e-mail ko thamna

aaghosh-e-gor ho gai aaKHir lahuluhan

aasan nahin hai aap ke bismil ko thamna

sine pe hath dharte hi kuchh dam pe ban gai

lo jaan ka azab hua dil ko thamna

baqi hai shauq-e-chaak-e-gareban abhi mujhe

bas ai rafugar apni anamil ko thamna

mat mangiyo aman buton se ki hai haram

'momin' zaban-e-behuda sail ko thamna

(733) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ai Aarzu-e-qatl Zara Dil Ko Thamna In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ai Aarzu-e-qatl Zara Dil Ko Thamna is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ai Aarzu-e-qatl Zara Dil Ko Thamna for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ai Aarzu-e-qatl Zara Dil Ko Thamna in PDF.