Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae

main agar aap se jaun to qarar aa jae

par ye Darta hun ki aisa na ho yar aa jae

bandho ab chaaragaro chille ki wo bhi shayad

wasl-e-dushman ke liye su-e-mazar aa jae

kar zara aur bhi ai josh-e-junun KHwar o zalil

mujh se aisa ho ki naseh ko bhi aar aa jae

nam-e-bad-baKHti-e-ushshaq-e-KHizan hai bulbul

tu agar nikle chaman se to bahaar aa jae

jite ji ghair ko ho aatish-e-dozaKH ka azab

gar meri nash pe wo shola-azar aa jae

kulfat-e-hijr ko kya roun tere samne main

dil jo KHali ho to aankhon mein ghubar aa jae

mahw-e-dildar hun kis tarah na hun dushman-e-jaan

mujh pe jab naseh-e-bedard ko pyar aa jae

Thahar ja josh-e-tapish hai to taDapna lekin

chaarasazon mein zara dam dil-e-zar aa jae

husn-e-anjam ka 'momin' mere bare hai KHayal

yani kahta hai wo kafir ki tu mara jae

(806) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Main Agar Aap Se Jaun To Qarar Aa Jae in PDF.