Ham-rang Laghari Se Hun Gul Ki Shamim Ka

ham-rang laghari se hun gul ki shamim ka

tufan-e-baad hai mujhe jhonka nasim ka

chhoDa na kuchh bhi sine mein tughyan-e-ashk ne

apni hi fauj ho gai lashkar ghanim ka

yaran-e-nau ke waste mujh se KHafa hue

tum ko nahin hai pas niyaz-e-qadim ka

yaad aai kafiron ko meri aah-e-sard ki

kyunki na kanpne lage shola jahim ka

az-bas-ki sabt-e-nama hai soz-e-tap-e-darun

qasid ka hath hai yad-e-baiza kalim ka

waiz kabhi hila nahin ku-e-sanam se main

kya jaanun kya hai martaba arsh-e-azim ka

mara hai wasl-e-ghair ke shikwe pe chahiye

madfan juda juda meri lash-e-do-nim ka

kahta hai baat baat pe kyun jaan kha gae

goya ki pak gaya hai kaleja nadim ka

waiz buton ko KHuld mein le jaenge kahin

hai wada kafiron se azab-e-alim ka

'momin' tujhe to wahb hai momin hi wo nahin

jo mo'taqid nahin teri tab-e-salim ka

(824) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ham-rang Laghari Se Hun Gul Ki Shamim Ka In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ham-rang Laghari Se Hun Gul Ki Shamim Ka is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ham-rang Laghari Se Hun Gul Ki Shamim Ka for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ham-rang Laghari Se Hun Gul Ki Shamim Ka in PDF.