Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi

na intizar mein yan aankh ek aan lagi

na hae hae mein talu se shab zaban lagi

jala jigar tap-e-gham se phaDakne jaan lagi

ilahi KHair ki ab aag pas aan lagi

gali mein us ki na phir aate hum to kya karte

tabiat apni na jannat ke darmiyan lagi

jafa-e-ghair ka shikwa tha tera tha kya zikr

abas ye baat buri tujh ko bad-guman lagi

hanso na tum to mere haal par main hun wo zalil

ki jis ki zillat-o-KHwari se tum ko shan lagi

kahan wo aah-o-fughan dam bhi le nahin sakte

hamein ye teri dua-e-bad aasman lagi

main aur us ko bulaunga roz-e-wasl mein lo

ajal bhi karne mohabbat ka imtihan lagi

ba-rang-e-surat-e-bulbul nahin nawa-sanji

ye kya hua ki chup ai gulsitan bayan lagi

sada tumhaari taraf ji laga hi rahta hai

tumhaare waste hai dil ko mehrban lagi

wo kina-tuz tha 'momin' to dil lagaya kyun

kaho to kya tumhein aisi bhali wo aan lagi

(644) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Na Intizar Mein Yan Aankh Ek Aan Lagi in PDF.