ShoKH Kahta Hai Be-haya Jaana

shoKH kahta hai be-haya jaana

dekho dushman ne tum ko kya jaana

shola-e-dil ko naz-e-tabish hai

apna jalwa zara dikha jaana

shauq ne durbash-e-ada ko

us ki mahfil mein marhaba jaana

us ke uThte hi hum jahan se uThe

kya qayamat hai dil ka aa jaana

ghar mein KHud-raftagi se dhum machi

kyunke ho us talak mera jaana

puchhna haal-e-yar hai manzur

main ne naseh ka muddaa jaana

mai na utri gale se jo us bin

mujh ko yaron ne parsa jaana

shikwa karta hai be-niyazi ka

tu ne 'momin' buton ko kya jaana

(621) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

ShoKH Kahta Hai Be-haya Jaana In English By Famous Poet Momin Khan Momin. ShoKH Kahta Hai Be-haya Jaana is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem ShoKH Kahta Hai Be-haya Jaana for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download ShoKH Kahta Hai Be-haya Jaana in PDF.