Shab Tum Jo Bazm-e-ghair Mein Aankhen Chura Gae

shab tum jo bazm-e-ghair mein aankhen chura gae

khoe gae hum aise ki aghyar pa gae

puchha kisi pe marte ho aur dam nikal gaya

hum jaan se inan-ba-inan sada gae

phaili wo bu jo hum mein nihan misl-e-ghuncha thi

jhonke nasim ke ye naya gul khila gae

ai aab-e-ashk aatish-e-unsur hi dekhna

ji hi gaya agar nafas-e-shola-za gae

majlis mein us ne pan diya apne hath se

aghyar sabz-baKHt the hum zahr kha gae

uTTha na zof se gul-e-dagh-e-junun ka bojh

qarun ki tarah hum bhi zamin mein sama gae

ghairon se ho wo parda-nashin kyun na be-hijab

dam-ha-e-be-asar mere parda uTha gae

thi bad-gumani ab unhen kya ishq-e-hur ki

jo aa ke marte dam mujhe surat dikha gae

tabinda o jawan to baKHt-e-raqib the

hum tira-roz kyun gham-e-hijran ko bha gae

be-zar zindagani ka jina muhaal tha

wo bhi hamari lash ko Thokar laga gae

waiz ke zikr-e-mehr-e-qayamat ko kya kahun

aalam shab-e-visal ke aankhon mein chha gae

jis waqt us dayar se aghyar-e-bul-hawas

bad-KHuiyon se yar ke ho kar KHafa gae

duniya hi se gaya main junhi naz se kaha

ab bhi guman-e-bad na gae tere ya gae

ai 'momin' aap kab se hue banda-e-butan

bare hamare din mein hazrat bhi aa gae

(597) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Shab Tum Jo Bazm-e-ghair Mein Aankhen Chura Gae In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Shab Tum Jo Bazm-e-ghair Mein Aankhen Chura Gae is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Shab Tum Jo Bazm-e-ghair Mein Aankhen Chura Gae for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Shab Tum Jo Bazm-e-ghair Mein Aankhen Chura Gae in PDF.