Sauda Tha Bala-e-josh Par Raat

sauda tha bala-e-josh par raat

bistar par bichhae nashtar raat

bigDe the yahan wo aan kar raat

be-taur bani thi jaan par raat

hum ta-sahar aap mein nahin the

kya jaane rahe wo kis ke ghar raat

afsana samajh ke so gae wo

kaam aai fughan-e-be-asar raat

aaine mein ho na mom jadu

sote nahin ab wo ta-sahar raat

tare aankhen jhapak rahe the

tha baam pe kaun jalwa-gar raat

andhera paDa zamane mein hae

ne din ko hai mehr ne qamar raat

is lail-o-nahaar-e-gham ne mara

hai roz se siyah-tar raat

kya puchho ho munkar-o-nakir aah

bigDe jo wo tan-e-ghair par raat

ye baat baDhi ki mar gae hum

maut aai thi qissa muKHtasar raat

is ghar mein hai aish-e-KHuld 'momin'

kya jaane kahan hai din kidhar raat

(523) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sauda Tha Bala-e-josh Par Raat In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Sauda Tha Bala-e-josh Par Raat is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Sauda Tha Bala-e-josh Par Raat for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Sauda Tha Bala-e-josh Par Raat in PDF.