Dil Qabil-e-mohabbat-e-jaanan Nahin Raha

dil qabil-e-mohabbat-e-jaanan nahin raha

wo walwala wo josh wo tughiyan nahin raha

ThanDa hai garm-joshi-e-afsurdagi se ji

kaisa asar ki nala-o-afghan nahin raha

karte hain apne zaKHm-e-jigar ko rafu hum aap

kuchh bhi KHayal-e-jumbish-e-mizhgan nahin raha

dil-saKHtiyon se aai tabiat mein nazuki

sabr-o-tahammul-e-qalaq-e-jaan nahin raha

ghash hain ki be-dimagh hain gul-pairahan namat

az-bas dimagh-e-itr-e-gareban nahin raha

aankhen na badlen shoKH-nazar kyun ke ab ki main

maftun-e-lutf-e-nargis-e-fattan nahin raha

nakaamiyon ka gah gila gah shukr hai

shauq-e-visal o anduh-e-hijran nahin raha

be-tuda tuda-KHak subuk-dosh ho gae

sar par junun-e-ishq ka ehsan nahin raha

har lahza mehr-jalwon se hain chashm-poshiyan

aaina-zar dida-e-hairan nahin raha

phirte hain kaise parda-nashinon se munh chhupae

ruswa hue ki ab gham-e-pinhan nahin raha

aaseb-e-chashm-e-qahr-e-pari-talatan nahin

ai uns ek nazar ki main insan nahin raha

bekari-e-umid se fursat hai raat din

wo karobar-e-hasrat-o-hirman nahin raha

be-sair-e-dasht-o-baadiya lagne laga hai ji

aur is KHarab ghar mein ki viran nahin raha

kya talKH-kaamiyon ne lab-e-zaKHm si diye

wo shor-e-ishtiyaq-e-namak-dan nahin raha

be-e'tibar ho gae hum tark-e-ishq se

az-bas ki pas-e-wada-o-paiman nahin raha

nind aai hai fasana-e-gesu-o-zulf se

wahm-o-guman-e-KHwab-e-pareshan nahin raha

kis kaam ke rahe jo kisi se raha na kaam

sar hai magar ghurur ka saman nahin raha

'momin' ye laf-e-ulfat-e-taqwa hai kyun magar

dilli mein koi dushman-e-iman nahin raha

(847) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil Qabil-e-mohabbat-e-jaanan Nahin Raha In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Dil Qabil-e-mohabbat-e-jaanan Nahin Raha is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Dil Qabil-e-mohabbat-e-jaanan Nahin Raha for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Dil Qabil-e-mohabbat-e-jaanan Nahin Raha in PDF.