Dil-bastagi Si Hai Kisi Zulf-e-dota Ke Sath

dil-bastagi si hai kisi zulf-e-dota ke sath

pala paDa hai hum ko KHuda kis bala ke sath

kab tak nibhaiye but-e-na-ashna ke sath

kije wafa kahan talak us bewafa ke sath

yaad-e-hawa-e-yar ne kya kya na gul khilae

aai chaman se nikhat-e-gul jab saba ke sath

manga karenge ab se dua hijr-e-yar ki

aaKHir to dushmani hai asar ko dua ke sath

hai kis ka intizar ki KHwab-e-adam se bhi

har bar chaunk paDte hain aawaz-e-pa ke sath

ya rab visal-e-yar mein kyunkar ho zindagi

nikli hi jaan jati hai har har ada ke sath

allah re soz-e-atash-e-gham baad-e-marg bhi

uThte hain meri KHak se shole hawa ke sath

sau zindagi nisar karun aisi maut par

yun roe zar zar tu ahl-e-aza ke sath

har dam araq araq nigah-e-be-hijab hai

kis ne nigah-e-garm se dekha haya ke sath

marne ke baad bhi wahi aawargi rahi

afsos jaan gai nafas-e-na-rasa ke sath

dast-e-junun ne mera gareban samajh liya

uljha hai un se shoKH ke band-e-qaba ke sath

aate hi tere chal diye sab warna yas ka

kaisa hujum tha dil-e-hasrat-faza ke sath

main kine se bhi KHush hun ki sab ye to kahte hain

us fitnagar ko lag hai is mubtila ke sath

allah ri gumrahi but o but-KHana chhoD kar

'momin' chala hai kabe ko ek parsa ke sath

'momin' wahi ghazal paDho shab jis se bazm mein

aati thi lab pe jaan zah-o-habbaza ke sath

(1927) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dil-bastagi Si Hai Kisi Zulf-e-dota Ke Sath In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Dil-bastagi Si Hai Kisi Zulf-e-dota Ke Sath is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Dil-bastagi Si Hai Kisi Zulf-e-dota Ke Sath for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Dil-bastagi Si Hai Kisi Zulf-e-dota Ke Sath in PDF.