Asar Usko Zara Nahin Hota

asar us ko zara nahin hota

ranj rahat-faza nahin hota

bewafa kahne ki shikayat hai

to bhi wada-wafa nahin hota

zikr-e-aghyar se hua malum

harf-e-naseh bura nahin hota

kis ko hai zauq-e-talKH-kaami lek

jang bin kuchh maza nahin hota

tum hamare kisi tarah na hue

warna duniya mein kya nahin hota

us ne kya jaane kya kiya le kar

dil kisi kaam ka nahin hota

imtihan kijiye mera jab tak

shauq zor-azma nahin hota

ek dushman ki charKH hai na rahe

tujh se ye ai dua nahin hota

aah tul-e-amal hai roz-fuzun

garche ek muddaa nahin hota

tum mere pas hote ho goya

jab koi dusra nahin hota

haal-e-dil yar ko likhun kyunkar

hath dil se juda nahin hota

rahm bar-KHasm-e-jaan-e-ghair na ho

sab ka dil ek sa nahin hota

daman us ka jo hai daraaz to ho

dast-e-ashiq rasa nahin hota

chaara-e-dil siwae sabr nahin

so tumhaare siwa nahin hota

kyun sune arz-e-muztar ai 'momin'

sanam aaKHir KHuda nahin hota

(1702) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Asar Usko Zara Nahin Hota In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Asar Usko Zara Nahin Hota is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Asar Usko Zara Nahin Hota for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Asar Usko Zara Nahin Hota in PDF.