Ghairon Pe Khul Na Jae Kahin Raaz Dekhna

ghairon pe khul na jae kahin raaz dekhna

meri taraf bhi ghamza-e-ghammaz dekhna

uDte hi rang-e-ruKH mera nazron se tha nihan

is murgh-e-par-shikasta ki parwaz dekhna

dushnam-e-yar tab-e-hazin par giran nahin

ai ham-nafas nazakat-e-awaz dekhna

dekh apna haal-e-zar munajjim hua raqib

tha sazgar tala-e-na-saz dekhna

bad-kaam ka maal bura hai jaza ke din

haal-e-siphar-e-tafraqa-andaz dekhna

mat rakhiyo gard-e-tarik-e-ushshaq par qadam

pamal ho na jae sar-afraaz dekhna

meri nigah-e-KHira dikhate hain ghair ko

be-taqati pe sarzanish-e-naz dekhna

tark-e-sanam bhi kam nahin soz-e-jahim se

'momin' gham-e-maal ka aaghaz dekhna

(687) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ghairon Pe Khul Na Jae Kahin Raaz Dekhna In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ghairon Pe Khul Na Jae Kahin Raaz Dekhna is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ghairon Pe Khul Na Jae Kahin Raaz Dekhna for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ghairon Pe Khul Na Jae Kahin Raaz Dekhna in PDF.