Agar Ghaflat Se Baz Aaya Jafa Ki

agar ghaflat se baz aaya jafa ki

talafi ki bhi zalim ne to kya ki

mare aaghaz-e-ulfat mein hum afsos

use bhi rah gai hasrat jafa ki

kabhi insaf hai dekha na didar

qayamat aksar us ku mein raha ki

falak ke hath se main ja chhupun gar

KHabar la de koi tahtus-sara ki

shab-e-wasl-e-adu kya kya jala hun

haqiqat khul gai roz-e-jaza ki

chaman mein koi us ku se na aaya

gai barbaad sab mehnat saba ki

kushad-e-dil pe bandhi hai kamar aaj

nahin hai KHairiyat band-e-qaba ki

kiya jab iltifat us ne zara sa

paDi hum ko husul-e-muddaa ki

kaha hai ghair ne tum se mera haal

kahe deti hai bebaki ada ki

tumhein shor-e-fughan se mere kya kaam

KHabar lo apni chashm-e-surma-sa ki

diya ilm o hunar hasrat-kashi ko

falak ne mujh se ye kaisi dagha ki

gham-e-maqsad-rasi ta naza aur hum

ab aai maut baKHt-e-na-rasa ki

mujhe ai dil teri jaldi ne mara

nahin taqsir us der-ashna ki

jafa se thak gae to bhi na puchha

ki tu ne kis tawaqqo par wafa ki

kaha us but se marta hun to 'momin'

kaha main kya karun marzi KHuda ki

(1176) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Agar Ghaflat Se Baz Aaya Jafa Ki In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Agar Ghaflat Se Baz Aaya Jafa Ki is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Agar Ghaflat Se Baz Aaya Jafa Ki for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Agar Ghaflat Se Baz Aaya Jafa Ki in PDF.