Hui Tasir Aah-o-zari Ki

hui tasir aah-o-zari ki

rah gai baat be-qarari ki

shikwa-e-dushmani karen kis se

wan shikayat hai dost-dari ki

mubtala-e-shab-e-firaq hue

zid se hum tira-rozgari ki

yaad aai jo garm-joshi-e-yar

dida-e-tar ne shola-bari ki

kyun na Dar jaun dekh kar wo zulf

hai shab-e-hijr ki si tariki

yas dekho ki ghair se kah di

baat apni umid-wari ki

bas ki hai yar ki kamar ka KHayal

sher ki sujhti hai bariki

kar de roz-e-jaza shab-e-dijur

zulmat apni siyahkari ki

tere abru ki yaad mein hum ne

naKHun-e-gham se dil-figari ki

qatl-e-dushman ka hai irada use

ye saza apni jaan-nisari ki

kya musalman hue ki ai 'momin'

hasil us but se sharmsari ki

(634) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Hui Tasir Aah-o-zari Ki In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Hui Tasir Aah-o-zari Ki is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Hui Tasir Aah-o-zari Ki for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Hui Tasir Aah-o-zari Ki in PDF.