Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho

wo jo hum mein tum mein qarar tha tumhein yaad ho ki na yaad ho

wahi yani wada nibah ka tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo jo lutf mujh pe the beshtar wo karam ki tha mere haal par

mujhe sab hai yaad zara zara tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo nae gile wo shikayaten wo maze maze ki hikayaten

wo har ek baat pe ruThna tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi baiThe sab mein jo ru-ba-ru to ishaaraton hi se guftugu

wo bayan shauq ka barmala tumhein yaad ho ki na yaad ho

hue ittifaq se gar baham to wafa jatane ko dam-ba-dam

gila-e-malamat-e-aqriba tumhein yaad ho ki na yaad ho

koi baat aisi agar hui ki tumhaare ji ko buri lagi

to bayan se pahle hi bhulna tumhein yaad ho ki na yaad ho

kabhi hum mein tum mein bhi chah thi kabhi hum se tum se bhi rah thi

kabhi hum bhi tum bhi the aashna tumhein yaad ho ki na yaad ho

suno zikr hai kai sal ka ki kiya ek aap ne wada tha

so nibahane ka to zikr kya tumhein yaad ho ki na yaad ho

kaha main ne baat wo koThe ki mere dil se saf utar gai

to kaha ki jaane meri bala tumhein yaad ho ki na yaad ho

wo bigaDna wasl ki raat ka wo na manna kisi baat ka

wo nahin nahin ki har aan ada tumhein yaad ho ki na yaad ho

jise aap ginte the aashna jise aap kahte the ba-wafa

main wahi hun 'momin'-e-mubtala tumhein yaad ho ki na yaad ho

(1396) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Wo Jo Hum Mein Tum Mein Qarar Tha Tumhein Yaad Ho Ki Na Yaad Ho in PDF.