Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe

wo kahan sath sulate hain mujhe

KHwab kya kya nazar aate hain mujhe

us pari-wash se lagate hain mujhe

log diwana banate hain mujhe

ya rab un ka bhi janaza uTThe

yar us ku se uThate hain mujhe

abru-e-tegh se ima hai ki aa

qatl karne ko bulate hain mujhe

bewafai ka udu ki hai gila

lutf mein bhi wo satate hain mujhe

hairat-e-husn se ye shakl bani

ki wo aaina dikhate hain mujhe

phunk de aatish-e-dil dagh mere

us ki KHu yaad dilate hain mujhe

gar kahe ghamza kise qatl karun

to ishaarat se batate hain mujhe

main to us zulf ki bu par ghash hun

chaaragar mushk sunghate hain mujhe

shola-ru kahte hain aghyar ko wo

apne nazdik jalate hain mujhe

jaan gai par na gai jaur-kashi

baad-e-murdan bhi dabaate hain mujhe

wo jo kahte hain tujhe aag lage

muzhda-e-wasl sunate hain mujhe

ab ye surat hai ki ai parda-nashin

tujh se ahbab chhupate hain mujhe

'momin' aur dair KHuda KHair kare

taur beDhab nazar aate hain mujhe

(720) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Wo Kahan Sath Sulate Hain Mujhe in PDF.