Ye Uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil Kaisa Nikal Aaya

ye uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil kaisa nikal aaya

main ilzam us ko deta tha qusur apna nikal aaya

na shadi-marg hun kyunkar hai muzhda qatl-e-dushman ka

ki ghar mein se liye shamshir wo rota nikal aaya

sitam ai garmi-e-zabt-e-fughan-o-ah chhati par

kabhu bas paD gaya chhaala kabhu phoDa nikal aaya

kiya zanjir mujh ko chaara-gar ne kin dinon mein jab

adu ki qaid se wo shoKH-e-be-parwa nikal aaya

nikal aaya agar aansu to zalim mat nikal aankhen

suna mazur hai muztar nikal aaya nikal aaya

hamare KHun-baha ka ghair se dawa hai qatil ko

ye baad-e-infisal ab aur hi jhagDa nikal aaya

hui bulbul sana-KHwan-e-dahan-e-tang kis gul ki

ki farwardi mein ghunche ka munh itna sa nikal aaya

koi tir us ka dil mein rah gaya tha kya ki aankhon se

abhi rone mein ek paikan ka TukDa nikal aaya

dam-e-bismil ye kis ke KHauf se hum pi gae aansu

ki har zaKHm-e-badan se KHun ka dariya nikal aaya

KHadang-e-yar ke hamrah nikli jaan sine se

yahi arman ek muddat se ji mein tha nikal aaya

bahut nazan hai tu ai qais par wahshat dikhaunga

kitabon mein kabhu qissa jo 'momin' ka nikal aaya

(1538) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ye Uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil Kaisa Nikal Aaya In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Ye Uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil Kaisa Nikal Aaya is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Ye Uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil Kaisa Nikal Aaya for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Ye Uzr-e-imtihan-e-jazb-e-dil Kaisa Nikal Aaya in PDF.