Raaz-e-nihan Zaban-e-aghyar Tak Na Pahuncha

raaz-e-nihan zaban-e-aghyar tak na pahuncha

kya ek bhi hamara KHat yar tak na pahuncha

allah re na-tawani jab shiddat-e-qalaq mein

baalin se sar uThaya diwar tak na pahuncha

rote to rahm aata so us ke ru-ba-ru to

ek qatra KHun bhi chashm-e-KHun-bar tak na pahuncha

aashiq se mat bayan kar qatl-e-adu ka muzhda

paigham-e-marg hai ye bimar tak na pahuncha

be-baKHt rang-e-KHubi kis kaam ka ki main to

tha gulwale kisi ki dastar tak na pahuncha

muft awwal-e-suKHan mein aashiq ne jaan de di

qasid bayan tera iqrar tak na pahuncha

thi KHar rah teri mizhgan ki yaad phir shab

ta-subh KHwab chashm-e-bedar tak na pahuncha

baKHt-e-rasa adu ke jo chahe so kahe ab

yak bar yar mujh tak main yar tak na pahuncha

ghairon se us ne hargiz chhoDi na hatha-pai

jab tak ajal ka sadma do-chaar tak na pahuncha

'momin' usi ne mujh se di bartari kisi ko

jo past-fahm mere ashaar tak na pahuncha

(632) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Raaz-e-nihan Zaban-e-aghyar Tak Na Pahuncha In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Raaz-e-nihan Zaban-e-aghyar Tak Na Pahuncha is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Raaz-e-nihan Zaban-e-aghyar Tak Na Pahuncha for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Raaz-e-nihan Zaban-e-aghyar Tak Na Pahuncha in PDF.