Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq

qahr hai maut hai qaza hai ishq

sach to yun hai buri bala hai ishq

asar-e-gham zara bata dena

wo bahut puchhte hain kya hai ishq

aafat-e-jaan hai koi parda-nashin

ki mere dil mein aa chhupa hai ishq

bul-hawas aur laf-e-jaan-bazi

khel kaisa samajh liya hai ishq

wasl mein ehtimal-e-shadi-e-marg

chaaragar dard-e-be-dawa hai ishq

sujhe kyunkar fareb-e-dildari

dushman-ashna-numa hai ishq

kis malahat-sirisht ko chaha

talKH-kaami pe ba-maza hai ishq

hum ko tarjih tum pe hai yani

dilruba husn o jaan-ruba hai ishq

dekh haalat meri kahen kafir

nam dozaKH ka kyun dhara hai ishq

dekhiye kis jagah Dubo dega

meri kashti ka naKHuda hai ishq

ab to dil ishq ka maza chakkha

hum na kahte the kyun bura hai ishq

aap mujh se nibahenge sach hai

ba-wafa husn o bewafa hai ishq

main wo majnun-e-wahshat-ara hun

nam se mere bhagta hai ishq

qais o farhad o wamiq o 'momin'

mar gae sab hi kya waba hai ishq

(1475) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Qahr Hai Maut Hai Qaza Hai Ishq in PDF.