Dafn Jab KHak Mein Hum SoKHta-saman Honge

dafn jab KHak mein hum soKHta-saman honge

fils mahi ke gul-e-sham-e-shabistan honge

nawak-andaz jidhar dida-e-jaanan honge

nim-bismil kai honge kai be-jaan honge

tab-e-nazzara nahin aaina kya dekhne dun

aur ban jaenge taswir jo hairan honge

tu kahan jaegi kuchh apna Thikana kar le

hum to kal KHwab-e-adam mein shab-e-hijran honge

naseha dil mein tu itna to samajh apne ki hum

lakh nadan hue kya tujh se bhi nadan honge

kar ke zaKHmi tujhe nadim hun ye mumkin hi nahin

gar wo honge bhi to be-waqt pasheman honge

ek hum hain ki hue aise pashiman ki bas

ek wo hain ki jinhen chah ke arman honge

hum nikalenge sun ai mauj-e-hawa bal tera

us ki zulfon ke agar baal pareshan honge

sabr ya rab meri wahshat ka paDega ki nahin

chaara-farma bhi kabhi qaidi-e-zindan honge

minnat-e-hazrat-e-isa na uThaenge kabhi

zindagi ke liye sharminda-e-ehsan honge

tere dil-tafta ki turbat pe adu jhuTa hai

gul na honge sharar-e-atash-e-sozan honge

ghaur se dekhte hain tauf ko aahu-e-haram

kya kahen us ke sag-e-kucha ke qurban honge

dagh-e-dil niklenge turbat se meri jun lala

ye wo aKHgar nahin jo KHak mein pinhan honge

chaak parde se ye ghamze hain to ai parda-nashin

ek main kya ki sabhi chaak-e-gareban honge

phir bahaar aai wahi dasht-nawardi hogi

phir wahi panw wahi KHar-e-mughilan honge

sang aur hath wahi wo hi sar o dagh-e-junun

wo hi hum honge wahi dasht o bayaban honge

umr to sari kaTi ishq-e-butan mein 'momin'

aaKHiri waqt mein kya KHak musalman honge

(1732) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dafn Jab KHak Mein Hum SoKHta-saman Honge In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Dafn Jab KHak Mein Hum SoKHta-saman Honge is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Dafn Jab KHak Mein Hum SoKHta-saman Honge for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Dafn Jab KHak Mein Hum SoKHta-saman Honge in PDF.