Dida-e-hairan Ne Tamasha Kiya

dida-e-hairan ne tamasha kiya

der talak wo mujhe dekha kiya

zabt-e-fughan go ki asar tha kiya

hausla kya kya na kiya kya kiya

aankh na lagne se shab ahbab ne

aankh ke lag jaane ka charcha kiya

mar gae us ke lab-e-jaan-baKHsh par

hum ne ilaj aap hi apna kiya

bujh gai ek aah mein sham-e-hayat

mujh ko dam-e-sard ne ThanDa kiya

ghair ayaadat se bura mante

qatl kiya aan ke achchha kiya

un se pari-wash ko na dekhe koi

mujh ko meri sharm ne ruswa kiya

zindagi-e-hijr bhi ek maut thi

marg ne kya kar-e-masiha kiya

pan mein ye rang kahan aap ne

aap mere KHun ka dawa kiya

jaur ka shikwa na karun zulm hai

raaz mera sabr ne ifsha kiya

kuchh bhi ban aati nahin kya kijiye

us ke bigaDne ne kuchh aisa kiya

jae thi teri mere dil mein so hai

ghair se kyun shikwa-e-beja kiya

rahm falak aur mere haal par

tu ne karam ai sitam-ara kiya

sach hi sahi aap ka paiman wale

marg ne kab wada-e-farda kiya

dawa-e-taklif se jallad ne

roz-e-jaza qatl phir apna kiya

marg ne hijran mein chhupaya hai munh

lo munh usi parda-nashin ka kiya

dushman-e-'momin' hi rahe but sada

mujh se mere nam ne ye kya kiya

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dida-e-hairan Ne Tamasha Kiya In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Dida-e-hairan Ne Tamasha Kiya is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Dida-e-hairan Ne Tamasha Kiya for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Dida-e-hairan Ne Tamasha Kiya in PDF.