Momin KHuda Ke Waste Aisa Makan Na ChhoD

'momin' KHuda ke waste aisa makan na chhoD

dozaKH mein Dal KHuld ko ku-e-butan na chhoD

aashiq to jaante hain wo ai dil yahi sahi

har-chand be-asar hai par aah o fughan na chhoD

us tab-e-naznin ko kahan tab-e-infial

jasus mere waste ai bad-guman na chhoD

na-chaar denge aur kisi KHub-ru ko dil

achchha tu apni KHu-e-bad ai bad-zaban na chhoD

zaKHmi kiya udu ko to marna muhaal hai

qurban jaun tere mujhe nim-jaan na chhoD

kuchh kuchh durust zid se teri ho chale hain wo

yak-chand aur kaj-rawi ai aasman na chhoD

jis kuche mein guzar saba ka na ho sake

ai andalib us ke liye gulsitan na chhoD

gar phir bhi ashk aaen to jaanun ki ishq hai

huqqe ka munh se ghair ki jaanib dhuan na chhoD

hota hai is jahim mein hasil visal-e-jaur

'momin' ajab bahisht hai dair-e-mughan na chhoD

(794) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Momin KHuda Ke Waste Aisa Makan Na ChhoD In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Momin KHuda Ke Waste Aisa Makan Na ChhoD is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Momin KHuda Ke Waste Aisa Makan Na ChhoD for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Momin KHuda Ke Waste Aisa Makan Na ChhoD in PDF.