Thi Wasl Mein Bhi Fikr-e-judai Tamam Shab

thi wasl mein bhi fikr-e-judai tamam shab

wo aae to bhi nind na aai tamam shab

wan tana tir-e-yar yahan shikwa zaKHm-rez

baham thi kis maze ki laDai tamam shab

rangin hain KHun-e-sar se wo hath aaj-kal rahe

jis hath mein wo dast-e-hinai tamam shab

talu se yan zaban sahar tak nahin lagi

tha kis ko shughl-e-naghma-e-sarai tamam shab

yak bar dekhte hi mujhe ghash jo aa gaya

bhule the wo bhi hosh-ruhai tamam shab

mar jate kyun na subh ke hote hi hijr mein

taklif kaisi kaisi uThai tamam shab

garm-e-jawab-e-shikwa-e-jaur-e-adu raha

us shola-KHu ne jaan jalai tamam shab

kahta hai mehr-wash tumhein kyun ghair gar nahin

din bhar hamesha wasl judai tamam shab

dhar panw aastan pe ki is aarzu mein aah

ki hai kisi ne nasiya-sai tamam shab

'momin' main apne nalon ke sadqe ki kahte hain

un ko bhi aaj nind na aai tamam shab

(1723) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Thi Wasl Mein Bhi Fikr-e-judai Tamam Shab In English By Famous Poet Momin Khan Momin. Thi Wasl Mein Bhi Fikr-e-judai Tamam Shab is written by Momin Khan Momin. Read famous Poem Thi Wasl Mein Bhi Fikr-e-judai Tamam Shab for youth and Student by Momin Khan Momin. Free Download Thi Wasl Mein Bhi Fikr-e-judai Tamam Shab in PDF.