Man Ke Aangan Mein KHayalon Ka Guzar Kaisa Hai

man ke aangan mein KHayalon ka guzar kaisa hai

ye chahakta hua viran sa ghar kaisa hai

mera mazi jahan bikhra sa paDa hai har su

ab wo pipal ke tale ujDa khanDar kaisa hai

saKHt pathraw tha kal raat teri basti mein

din nikalne pe ye dekhenge ki sar kaisa hai

jaan dena hai hamein ek shiwale ke qarib

aap batlaen zara aap ka dar kaisa hai

dil ke madfan mein 'tapish' dafn hai ehsas ka jism

tum ne chhoDa jise dekho wo nagar kaisa hai

(588) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Man Ke Aangan Mein KHayalon Ka Guzar Kaisa Hai In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. Man Ke Aangan Mein KHayalon Ka Guzar Kaisa Hai is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem Man Ke Aangan Mein KHayalon Ka Guzar Kaisa Hai for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download Man Ke Aangan Mein KHayalon Ka Guzar Kaisa Hai in PDF.