Mere Qarib Se Guzre Mujhe Sada Bhi Na De

mere qarib se guzre mujhe sada bhi na de

zaban ko lafz nigahon ko hausla bhi na de

ab us se kaise talluq ki aarzu rakkhen

dua-e-KHair to kya wo ki bad-dua bhi na de

ye chandni main gilason mein ghol dun na kahin

main chahta hun wo yaadon ka aasra bhi na de

hamin pe sajte hain yaro sharab bhi gham bhi

KHuda ke waste ab koi mashwara bhi na de

meri nigah usi ruKH ki hai asir 'tapish'

jo apne ruKH se kisi baat ka pata bhi na de

(521) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Mere Qarib Se Guzre Mujhe Sada Bhi Na De In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. Mere Qarib Se Guzre Mujhe Sada Bhi Na De is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem Mere Qarib Se Guzre Mujhe Sada Bhi Na De for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download Mere Qarib Se Guzre Mujhe Sada Bhi Na De in PDF.