Aur Tum Dastaken Dete Raho

jaane kya baat hai kyun nind nahin aati hai

raat bojhal hai sitaron ki nazar baiThi hui

shab ke KHamosh manazir hain ajab KHauf-zada

be-aman jaane kise DhunDhne ki zid mein abas

dur ufaq par kahin dur nikal jati hai

subh uThti hai to bachpan ki umangen le kar

aaj aaega koi raat gai baat gai

din guzarta hai kisi aas ke pahlu mein rawan

KHalwaten mahfil-e-rangin mein Dhal jati hain

aahen naghmon ki sadaon mein nikhar jati hain

sham lau deti hui yas ki ranai mein

kaun aata hai KHayalon ke siwa is ghar mein

kis ko aana hai yahan kaun yahan aaega

sham se baat banate hue din ka Dhalna

raat ka sham se rangin kahani sunna

raat ki nind se hoti hui chima-goi

paikar-e-nind ka TuTa hua alsaya badan

rose hota hai yun hi muddaten guzrin lekin

kash aisa ho kabhi nind na karwaT badle

aur tum dastaken dete raho hum aae hain

(688) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Aur Tum Dastaken Dete Raho In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. Aur Tum Dastaken Dete Raho is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem Aur Tum Dastaken Dete Raho for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download Aur Tum Dastaken Dete Raho in PDF.