Ek ThanDi Os Mein LipTi Nazar Ki Raushni Hai

ek ThanDi os mein lipTi nazar ki raushni hai

aur labon par guzre waqton ki purani chashni hai

aur main hun

falsafa rachne ki dhun mein bistar par silwaTen hain

adh-khuli aankhon mein KHwabon ki dhaDakti karwaTen hain

aur main hun

KHushbuon se tar hawa mein koi bojhal sham Dhalti

rang sare ho gae bad-rang phir bhi sans chalti

aur main hun

tum nahin ho aur tumhaari yaad ke sae bhi ghaeb

bhulte jate hain chahat ke mohabbat ke sabhi Dhab

ek an-suljhi paheli zindagi bhar ki tapasya

aur main hun sirf main hun

(584) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek ThanDi Os Mein LipTi Nazar Ki Raushni Hai In English By Famous Poet Moni Gopal Tapish. Ek ThanDi Os Mein LipTi Nazar Ki Raushni Hai is written by Moni Gopal Tapish. Read famous Poem Ek ThanDi Os Mein LipTi Nazar Ki Raushni Hai for youth and Student by Moni Gopal Tapish. Free Download Ek ThanDi Os Mein LipTi Nazar Ki Raushni Hai in PDF.