Khinch Kar Mujhko Har Ek Naqsh-o-nishan Le Jae

khinch kar mujh ko har ek naqsh-o-nishan le jae

kya pata zauq-e-safar mera kahan le jae

kaam ye har kas-o-na-kas ke nahin hai bas ka

jis ko sach kahna ho KHanjar pe zaban le jae

sirf ek bar tabassum wo uchhaale to idhar

aur badle mein mera sara jahan le jae

jis ko dikhlani ho duniya ko shujaat apni

wahi sar apna sar-e-nok-e-sinan le jae

kahin raushan nazar aate nahin ab sar ke charagh

arsa-e-jang se wo KHud ko kahan le jae

apni ghazlon mein jise rang-e-quzah bharna ho

wo 'mubarak' mera ejaz-e-bayan le jae

(505) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Khinch Kar Mujhko Har Ek Naqsh-o-nishan Le Jae In English By Famous Poet Mubarak Ansari. Khinch Kar Mujhko Har Ek Naqsh-o-nishan Le Jae is written by Mubarak Ansari. Read famous Poem Khinch Kar Mujhko Har Ek Naqsh-o-nishan Le Jae for youth and Student by Mubarak Ansari. Free Download Khinch Kar Mujhko Har Ek Naqsh-o-nishan Le Jae in PDF.