Baghal Mein Humne Raat Ek Ghairat-e-mahtab Dekha Hai

baghal mein hum ne raat ek ghairat-e-mahtab dekha hai

tumhin is KHwab ki tabir ho kya KHwab dekha hai

taDap bijli ki bhi dekhi hai wo dil tham lete hain

teri be-tabiyon ko bhi dil-e-betab dekha hai

wo ulfat dost hon naseh dua hi dil se nikli hai

agar dushman ke ghar bhi majma-e-ahbab dekha hai

KHuda ke samne ai mohtasib sach bolna hoga

mere saghar mein mai dekhi hai ya KHun-nab dekha hai

'mubarak' iztirab-e-shauq ka aalam nahin chhupta

ki jab dekha hai hum ne aap ko betab dekha hai

(477) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Baghal Mein Humne Raat Ek Ghairat-e-mahtab Dekha Hai In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Baghal Mein Humne Raat Ek Ghairat-e-mahtab Dekha Hai is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Baghal Mein Humne Raat Ek Ghairat-e-mahtab Dekha Hai for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Baghal Mein Humne Raat Ek Ghairat-e-mahtab Dekha Hai in PDF.