Dard-e-dil Yar Raha Dard Se Yari Na Gai

dard-e-dil yar raha dard se yari na gai

zindagi hum se to be-lutf gizari na gai

din ke nale na gae raat ki zari na gai

na gai dil se kabhi yaad tumhaari na gai

hum to KHun-gashta tamannaon ke matam mein rahe

sina-kubi na gai sina-figari na gai

intizar aap ka kab lutf se KHali nikla

raegan raat kisi roz hamari na gai

baKHshwaya mujhe tum ne to KHuda ne baKHsha

na gai roz-e-jaza baat tumhaari na gai

log kahte hain badalta hai zamana lekin

din hamara na gaya raat hamari na gai

(613) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Dard-e-dil Yar Raha Dard Se Yari Na Gai In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Dard-e-dil Yar Raha Dard Se Yari Na Gai is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Dard-e-dil Yar Raha Dard Se Yari Na Gai for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Dard-e-dil Yar Raha Dard Se Yari Na Gai in PDF.