Tamashai To Hain Tamasha Nahin Hai
tamashai to hain tamasha nahin hai
gira hai wo parda ki uThta nahin hai
ye kis ki nazar de gai rog ya-rab
sambhaale se ab dil sambhalta nahin hai
taDap jaiyega taDap jaiyega
taDapna hamara tamasha nahin hai
bahut phans nikli bahut KHar nikle
magar dil ka kanTa nikalta nahin hai
ye har shaKHs ki lan-tarani hai kaisi
ki har aankh to chashm-e-musa nahin hai
salamat meri wahshat-e-dil salamat
kahan meri wahshat ka charcha nahin hai
meri jaan bhi hai inayat tumhaari
ye dil bhi tumhaara hai mera nahin hai
bulai gai un ki mahfil mein duniya
magar ek mera bulawa nahin hai
zara aap samjhaiye dil ko naseh
main samjha raha hun samajhta nahin hai
tumhein dekhne ko tarasti hain aankhen
bahut din hue tum ko dekha nahin hai
(530) Peoples Rate This