Taza Aazar Ka Arman Kahan Jata Hai

taza aazar ka arman kahan jata hai

phir sata le tere qurban kahan jata hai

kis pe dil aaya kahan aaya bata ai naseh

tu meri tarah pareshan kahan jata hai

KHanqahon pe hua pir-e-mughan ka qabza

aaj mai-KHane ka saman kahan jata hai

dil salamat nahin aane ka 'mubarak' ba-KHuda

are nadan kaha man kahan jata hai

(532) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Taza Aazar Ka Arman Kahan Jata Hai In English By Famous Poet Mubarak Azimabadi. Taza Aazar Ka Arman Kahan Jata Hai is written by Mubarak Azimabadi. Read famous Poem Taza Aazar Ka Arman Kahan Jata Hai for youth and Student by Mubarak Azimabadi. Free Download Taza Aazar Ka Arman Kahan Jata Hai in PDF.