Main Shajar Hun Apne Sae Ka Sila Leta Nahin

main shajar hun apne sae ka sila leta nahin

KHosha-chin ho ya musafir shukriya kahta nahin

sach hi kahte ho ki jitna wo hai main utna nahin

shayad achchha hai ki jaisa wo hai main waisa nahin

ek musafir ki tarah hun koi ghar mera nahin

dil mein kuchh aazar hain ya shahr hi achchha nahin

barish aai dhul gae aankhon ke viran taqche

sham thak kar so gai mah-e-tamam aaya nahin

tere harf-e-talKH se is dil mein jitne dagh hain

rokte har bar hain lekin raha jata nahin

rone wale raegan ki ret par mehnat na kar

narm rut ka phul hai dil aag mein khilta nahin

(604) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Shajar Hun Apne Sae Ka Sila Leta Nahin In English By Famous Poet Mubarak Haider. Main Shajar Hun Apne Sae Ka Sila Leta Nahin is written by Mubarak Haider. Read famous Poem Main Shajar Hun Apne Sae Ka Sila Leta Nahin for youth and Student by Mubarak Haider. Free Download Main Shajar Hun Apne Sae Ka Sila Leta Nahin in PDF.