Main Kitne Barson Se Roz

main kitne barson se roz apne ana ki ek parat

chhilta hun

lahu lahu in hazar parton ki tah mein patthar hun

jaanta hun

ye kahkashaen ye kaenaten ye raushni ke siyah raste

guzar ke teri talash mein hain

ki ho na ho tum wahan kahin meri muntazir ho

mujhe yaqin hai ki tum meri baat sun rahi ho

magar nahin ho, ki ye jo tum ho, ye tum nahin ho

meri ana ka koi nagar ho

ki jis ke raushan siyah kuchon mein

sar-kaTe ajnabi bhare hain

main ruh ke reshmi libaade haTa ke KHud se milunga lekin

mujhe KHabar hai ki tum wahan bhi nahin milogi

ki tum parastish ki aarzu ka koi bhanwar ho

koi KHudawand-e-lab mile to

ki apni banjar ada ke mandir mein murti ki tarah khaDi ho

hazar sadiyon se rah tak tak ke jam gai ho

(580) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Main Kitne Barson Se Roz In English By Famous Poet Mubarak Haider. Main Kitne Barson Se Roz is written by Mubarak Haider. Read famous Poem Main Kitne Barson Se Roz for youth and Student by Mubarak Haider. Free Download Main Kitne Barson Se Roz in PDF.