Pahle Wo Achanak Nazar Aaya Use Dekha

pahle wo achanak nazar aaya use dekha

phir dil ne kiya aur taqaza use dekha

wo husn baDi der raha samne mere

phir main ne miyan jis tarah chaha use dekha

wo pal to meri aankh se jata hi nahin hai

ek roz dariche se main jhanka use dekha

wo husn ke meyar pe pura tha bahar-taur

dekha hi nahin koi bhi jaisa use dekha

ek sham wo kuchh aisa khula aisa khula bas

jaisa main samajhta tha so waisa use dekha

dariya sa samundar mein utarne ko tha betab

utra use dekha jo wo Duba use dekha

chhaya hai KHayalon mein 'said' aisa koi shaKHs

lagta hai ki jis ne mujhe dekha use dekha

(675) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Pahle Wo Achanak Nazar Aaya Use Dekha In English By Famous Poet Mubashshir Saeed. Pahle Wo Achanak Nazar Aaya Use Dekha is written by Mubashshir Saeed. Read famous Poem Pahle Wo Achanak Nazar Aaya Use Dekha for youth and Student by Mubashshir Saeed. Free Download Pahle Wo Achanak Nazar Aaya Use Dekha in PDF.