Sajda-e-yaad Mein Sar Apna Jhukaya Hua Hai

sajda-e-yaad mein sar apna jhukaya hua hai

hum ne ushshaq ke rutbe ko baDhaya hua hai

tohmaten hon ya ki patthar hon muqaddar us ka

ek diwana tere shahr mein aaya hua hai

mera maqsad tha faqat KHak uDana sahab

is liye dasht ko ghar-bar banaya hua hai

shaukat-e-majlis-e-hijran ko baDhana tha so yar

main ne palkon pe tera hijr sajaya hua hai

ek pari-zad hai dhaDkan ke ilaqe mein muqim

jis ne mahaul ko pur-wajd banaya hua hai

panw mein Dal ke tujh nam ke ghungru hum ne

apne andar hi miyan raqs rachaya hua hai

yar ki sohbat-e-pur-faiz ki barkat ne 'said'

is zamane mein mera kaam chalaya hua hai

(562) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Sajda-e-yaad Mein Sar Apna Jhukaya Hua Hai In English By Famous Poet Mubashshir Saeed. Sajda-e-yaad Mein Sar Apna Jhukaya Hua Hai is written by Mubashshir Saeed. Read famous Poem Sajda-e-yaad Mein Sar Apna Jhukaya Hua Hai for youth and Student by Mubashshir Saeed. Free Download Sajda-e-yaad Mein Sar Apna Jhukaya Hua Hai in PDF.