Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai

din raat ke dekhe hue manzar se alag hai

ye lamha to maujud o mayassar se alag hai

maujen ki bagule hon mere dil ka har ek rang

sahra hai juda aur samundar se alag hai

wo shai ki lage jis se meri ruh pe ye zaKHm

waqif hi nahin tu tere KHanjar se alag hai

poshida nahin mujh se ye duniya ki haqiqat

bahar se mere sath hai andar se alag hai

ek rang barasta hi raha mujh pe agarche

malum tha wo mere muqaddar se alag hai

tujh ko nahin malum hue jis pe fida hum

hai aur hi kuchh jo tere paikar se alag hai

us chashm-e-karam ne mujhe baKHsha jo KHazina

an-mol hai wo aur zar-o-gauhar se alag hai

us shaKHs ki ulfat ne phir ek rose bataya

qismat meri dara-o-sikandar se alag hai

(710) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Din Raat Ke Dekhe Hue Manzar Se Alag Hai in PDF.