Ek KHwab Ko Aankhen Rehn Rakhen Ek Shauq Mein Dil Viran Kiya

ek KHwab ko aankhen rehn rakhen ek shauq mein dil viran kiya

jine ki tamanna mein hum ne marne ka sabhi saman kiya

hum KHak uDate phirte hain is dasht-e-talab mein phir ek din

iqlim-e-junun us ne baKHshi aur dil ka hamein sultan kiya

kya kahiye karishma-saz the kya aaghaz-e-mohabbat ke wo din

jab KHud se bhi hum hairan hue us ne bhi bahut hairan kiya

ab hijr ka mausam aa pahuncha hum jaan gae the jab dil mein

ek dard ne Dera Dal liya ek dukh ne bayan imkan kiya

ek umr se chup tha dil dariya ek rose magar phir umaD paDa

tan man sab jis mein Dub gae har mauj ne wo tufan kiya

(520) Peoples Rate This

Your Thoughts and Comments

Ek KHwab Ko Aankhen Rehn Rakhen Ek Shauq Mein Dil Viran Kiya In English By Famous Poet Mubeen Mirza. Ek KHwab Ko Aankhen Rehn Rakhen Ek Shauq Mein Dil Viran Kiya is written by Mubeen Mirza. Read famous Poem Ek KHwab Ko Aankhen Rehn Rakhen Ek Shauq Mein Dil Viran Kiya for youth and Student by Mubeen Mirza. Free Download Ek KHwab Ko Aankhen Rehn Rakhen Ek Shauq Mein Dil Viran Kiya in PDF.